Hate Shayari

Hate Shayari

PAGE=1

Yahan Se Chhutkara
By : Gagan (Views : 242)

Rab hume de do is jahannum se chhutkara
Hum kahi bhi reh lenge ban ke awara
Ye dil toh ban gaya hai jaise bechara
Kyuki yahan ab nahi hoga apna gujara

 

DEEWAR NAFRAT KI
By :Gagan (Views : 591)

Hazaron baar diya dhoka tumne hum sab ko
Khadi diwar nafrat ki mitaye to bhala kaise
Kiya hai waar tu usko jo apna samajhta tha
Laga di aag mere ghar me bujhaye to bhala kaise
Teri har berukhi ko nazar andaz kiya hum ne
Diya jo zakhm is dil par dikhaye to bhala kaise
Teri kaayeri ka bayan kab tak karega Noor
Teri har galati ko yun hi bhulaye to bhala kaise
Hazaron baar diya dhoka tumne hum sab ko
Khadi diwar nafrat ki mitaye to bhala kaise

 

Khone Se Darte Hain
By : Gagan (Views : 3753)

Tanhayion se nahin hum mehfil se darte hain
duniya se nahin hum khud se darte hain
yun to bahut kuchh khoya hai humne
na jaane kyun tumhe khone se darte hain

 

Kahan Hai Tu
By : Gagan (Views : 2478)

Mana tu mere saath nahi
par tere hone ka ehsas kam bhi nahi hai
Tu ayegi ye aitbar hai mera
na aaye to koi gum bhi nahi hai
Teri talaash me nikle hai garm jajbat mere
dard to hai par jism pe jakhm bhi nahi hai
Roj tanhai me chand se guftgu hoti thi
aaj bhi chand hai goya hum hi nahi hai

 

Lazzat E Ashq, Teri Ankhen
By : Gagan (Views : 1671)

Lazzat e ashq ka maja puch mujhse
mere mehboob ko tadpane me maja aata hai
Teri nazro ko mujhse koi shikayat hai shayad
bin badal barsat mere ghar bhi nahi hoti
Hum to bas yunhi shayar ban baithe
suna hai unko bhi shauk hai gungunane ka
Apni adao se vo to bekhabar hai
Hume to aadat hai adao ko harf pehnane ka
Hume rehjano ne nahi rehbaro ne luta hai,
varna hum bhi manjil ke kafi kareeb the.

Bujh Ke Rakh Nahi Hote
By : Gagan (Views : 945)

Manzil Se Koso Door Sahi,
Purdard Sahi Ranjore Sahi,
Zakhmon Se Musafir Chur Sahi,
Par Kisse Kahein Aye Jaan-E-Wafa,
Kuch Aise Ghaav Bhi Hote Hai Jinhe Zakhmi Aap Nahi Dhote,
Bin Roye Aansu Ki Tarah Seene Mein Chhupa Kar Rakhte Hai,
Aur Saari Umar Nahi Rote,
Neendein Bhi Mouhaiya Hoti Hai Sapne Bhi Door Nahi Hote,
Kyon Phir Bhi Jagte Rehte Hai Kyon Sari Raat Nahi Sote,
Ab Kisse Kahein Aye Jaan-E-Wafa,
Ye Ahl-E-Wafa,
Kis Aag Mein Jalte Rehte Hai Kyon Bujh Kar Rakh Nahi Hote.

 

Pyaar Ka Saya
By : Gagan (Views : 2342)

Bichhad Kar Humse Kabhi Wo Bhi Tadpa To Hoga
Chand Lamhe Hi Sahi Wo Bhi Roya To Hoga
Beenayi Chashm Ki Kho Gayi Teer Reh Kar
Uske Naino Ko Bhi AshQone Bhigoya To Hoga
Dilke Rishte Bhi Kis Kadar Ajeeb Hote Hai
Tujhko Bhi Sanam Kisi Rishte Ne Thukraya To Hoga
Lab Khamosh Honge Kismat Mein Tanhayi Hogi
Tab Hi Wo Mere Pyaar Mein Dooba To Hoga
Tere Naseeb Mein Hai Aakhri Saans Jab Tak
Jahan Bhi Jaoge Wahan Pyaar Ka Saaya To Hoga

 

Main Tujhe Bhula Dungi
By : Gagan (Views : 889)

main dil par jabr karungi tujhe bhula dungi
marungi khud bhi tujhe bhi kadi saza dungi
yeh teergi mere ghar ka hi kyun muqaddar ho
main tere sheher ke sare diye bujha dungi
hawa ka haath bataungi har tabahi mein
hare shajar se parindein main khud udda dungi
wafa karungi kisi sogwaar chehre se
purani qabr par qutba naya saja dungi
isi khayal mein guzri hai sham-e-dard aksar
ke dard hadd se badhega tou muskura dungi
tu asmaan ki surat hai gir padega kabhi
zameen hoon main bhi magar tujhko asraa dungi
badha rahi hai mere dukh nishaniyan teri
main tere khat teri tasweer tak jala dungi
bahut dino se mera dil udaas hai
is aayine ko koi aks ab naya dungi

 

Kabhi Khamoshi Bhi Bahut Kuch Keh Jati Hai
By : Gagan (Views : 1158)

Kabhi Khamoshi Bhi Bahut Kuch Keh Jati Hai
Tadap Ne Ke Liye Sirf Yadein Reh Jati Hai
Kya Fark Padta Hai Dil ho Ya Koyla
Jalne Ke baad To Sirf Rakh Reh Jati Hai

 

Dharti Ka Gum Chupane Ke Liye
By : Gagan (Views : 647)

Dharti ka gum chhupane ke liye gagan hota hai
Dil ka gum chhupane ke liye badan hota hai
Mar ke bhi chhupane honge gum shaayad
Isliye har laash pe kafan hota hai

Kachi Deewar Hoon
By : Gagan (Views : 437)

Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujko,
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujko!
Tumko Aankho Mein Tasavur Ki Tarah Rakhta Hoon,
Dil Mein Dadhkan ki Tarah Tum bhi Basana Mujko !
Baat Karnay Mein jo Mushkil ho Tumhay Mehfil Mein,
Main Samajh Jaaonga Nazron Say Bataana Mujko !
Vaada Utna Hi Karo Jitna Nibha Saktay Ho,
Khawab Poora jo na ho woh na Dikhana Mujko!
Apnay Rishtay ki Nazaakat ka Baram Rakh Lena,
Main to Aashiq Hoon Deewana na Banana Mujko !
Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujko,
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujko

 

Mita Denge
By : Gagan (Views : 1563)

har dard ko chhupa denge hum
har zakham ko mita denge hum
tumhe aisa lagta hai ke
hum tum se pyaar karte hain
iss ehsaas ko bhi mita denge hum

 

Pyaar Nahi Karenge
By : Gagan (Views : 1367)

kisi ki yadoon mein khona achha nahi lagta humein
kisi ke liye tanha jeena achha nahi lagta humein
hum to kaat chuke hain bohut phele tanha zindagi
ab phir se kisi ke liye marna achha nahi lagta humein

 

Meri Wafa Ke Qabil
By : Gagan (Views : 1469)

meri wafa ke qabil nahi ho tum
pyaar mile aise insaan nahi ho tum
dil kya tum par aitbaar karega
pyaar me dhoka diya aise bewaafa ho tum

 

Rafta Rafta
By : Gagan (Views : 1312)

jinka sach hona kisi surat se bhi mumkin na tha
aisi aisi baatein aksar sochna achcha laga
pehle pehle tou nighaaon mein jachta nahi tha
rafta rafta dusra, phir teesra achcha laga.

BEETE DINO KI BAAT BHULAU KAISE
By : Gagan (Views : 882)

BEETE DINO KI BAAT BHULAU KAISE
PYAAR KI PAHALI MULAQAT BHULAU KAISE
AAKHON ME APANE LAAKH SAPANE SAJAYE MAINE
AAJ AANSUO ME UNHE MAIN BAHAU KAISE
ROOH SE UTH KE LAFJ AATE HAIN JUBA PE MERE
KHULTE HAIN KHUD BA KHUD HOTH NA GAAOU KAISE
MAHAL UMMID KE CHUN CHUNKE BANAYE MAINE
APANE HAATHON HI UNHE AAJ GIRAU KAISE
HOTH KHAMOSH THE AUR AANKH BAAT KARTI THI
SHOKHIYON SE BHARI WO RAAT BHULAUN KAISE
PADTE HAIN PAIR ME CHHALE CHALTE CHALTE
CHALKE NAZDIK TERE PAAS MAIN AAUN KAISE?

 

Teri Doli Uthi
By :Gagan (Views : 1506)

Teri doli uthi,
Meri mayyat uthi,
Phool tujh par bi barse,
Phool mujh par bi barse,
FARQ SIRF ITNA SA THA,
Tu saj gayi,
Mujhe sajaya gaya,
Tu bhi ghar ko chali,
Main bi ghar ko chala,
FARQ SIRF ITNA SA THA,
To uth ke gayi,
Mujhe uthaya gaya,
Mehfil wahan bhi thi,
Log yahan bhi the,
FARQ SIRF ITNA SA THA,
Unka hasna wahan,
Inka rona yahan,
Qazi udhar bhi tha, Molvi idhar bhi tha,
Do bol tere pade, Do bol mere pade,
Tera nikah pada,
Mera janaaza pada,
FARQ SIRF ITNA SA THA,
Tujhe apnaya gaya,
Mujhe dafnaya gaya.

 

Tumhari Chhoti Se Chhoti
By : Gagan (Views : 557)

tumhari chhoti se chhoti baat
bhi bhulti nahi
yaad hai jo dil se jati nahi
apni yaadon se keh do
is tarhan se tang na karein
raat guzar jati hai or neend aati nahi

 

Mere Gusse Mein Bhi
By : Gagan (Views : 530)

mere gusse mein bhi
jhalk thi pyaar ki
tere iqraar mein bhi
adaa thi inqaar ki

 

Tum Se Wafa Ki Umeed
By : Gagan (Views : 735)

tum se wafa ki umeed nahi karte
to rooth jao bina baat ke
yeh hum kabool nahi karte
narazgi ki wajha to batao
warna aise hi hum kissi
ko apne kareeb nahi karte

Sach Mein To Mumkin Nahi
By : Gagan(Views : 413)

sach mein to mumkin nahi,
chalo jhooth se hi,
yaad kar liya hota,
sach kehna to mushkil tha,
jhooth se hi iqraar kar diya hota.

 

Jaa Duaein Leti Jaa
By : Gagan. (Views : 439)

aashiq ki duwaye leti jaa jaa tujhko pati kangaal mile
khichdi ki kabhi yaad na aaye ja tujhko chane ki daal mile
tarse tu lipstick powder ko aur yaad kare tu kaajal ko
resham ki tujhe saadi na mile mohtaaj rahe tu makhmal ko
make-up ki tujhe fursat na mile ja ji ka janjaal mile

 

Rog
By : Gagan (Views : 917)

hum kise chahte hi nahi,
chaha jise bhulate bhi nahi,
par waqt ne kar diya tha majbur,
varna ye rog hum kabhi lagate hi nahi.

 

Haseeno
By :Gagan(Views : 1026)

Phoolon mein ab wo nami na hogi..
haseeon ki ab kami na hogi...
chhaya hai sab pe pyaar ka junoon...
par pehle jaisi waha bhi kabhi na hongi...

 

Manzilein Bhi Us Ki THI
By : Gagan (Views : 1050)

Manzilein bhi us ki thi
Rasta bhi us ka tha
Ek main akela tha
Kaafilaa bhi us ka tha
Saath saath chalne ki soch bhi us ki thi
Phir rasta badalne ka faisla bhi us ka tha
Aaj kyun akela hoon
Dil sawal karta hai
Log to usi ke the
Par kya khuda bhi us ka tha
Har raasta bhi us ka tha
har fiasla bhi us ka tha
Log bhi usi ke the
shayad khuda bhi us ka tha aur kya karon bayan apni barbadiyon ka aalam ki Jo ab sawal karta hai ye dil mera bhi us ka tha


« Back
« Home
wWw.Bhangu.Xtgem.CoM
© 2010 ! Inc - All rights reserved
online counter


Snack's 1967